Read these three beautiful poems written by Javed Akhtar
Poem 1
Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
Poem 2
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
Poem 3
Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.